SSC GD Syllabus 2023 in Hindi

Is vishay par hum aapko ssc gd syllabus 2023 ki poori jaankari dete hue aage badhenge. Sath hi pariksha pattern aur ssc gd syllabus 2023 ko jaanne ke lie ye lekh poora padhe. SSC GD Syllabus 2023 in Hindi, ssc gd syllabus 2023-24 in hindi, SSC GD Syllabus 2023 in English, SSC GD Math Syllabus 2023, SSC GD Syllabus 2023 Reasoning, SSC GD Exam Pattern 2023-24 aadi ki poori jaankari is lekh me vistarit roop se batayi gayi hai. Ye sabhi vishayo par hum aapko vistrit roop se jaankari denge taki aap exam ke lie behtar taiyaari kar sake.

SSC GD Syllabus

Hum aaj aapko is lekh ke madhyam se ssc gd syllabus 2023 board pariksha pattern ke bare mein sampoorn jaankari denge. Karmachari chayan aayog SSC ke dwara ssc gd bharti har varsh karaya jata hai. SSC GD vacancy ke lie bahut se abhyarthi har varsh intezar karte hain. Agar aap bhi is varsh ke ssc gd online form ko bharna chahte hain aur is varsh sainik ke roop mein sarkari naukri pana chahte hain to aapko likhit pariksha aur physical pariksha pass karni hogi. SSC GD likhit pariksha pass karne ke lie aapko ssc gd syllabus 2023-24 ki sampoorn jaankari hona avashyak hai jisse aap apni pariksha ranneeti ko behtar banaa sakein.


Isliye hum aaj aapko is lekh ke madhyam se SSC GD Syllabus 2023 PDF Download In Hindi aur SSC GD Exam Pattern 2023-24 ki poorn jaankari aapke saath share karenge. Jiske anusaar aap taiyaari karke ssc gd likhit pariksha mein jyada se jyada ank paa saken kyunki bina syllabus ki gahrai ke bare mein jane aap likhit pariksha mein behtar ank prapt nahi kar paayenge jise selection lene mein aapko dikkaton ka saamna karna pad sakta hai.


Important Details - SSC GD Syllabus 2023-24 Overview

आयोग का नाम कर्मचारी चयन आयोग (एसएससी)
परीक्षा का नाम General Duty Constable Exam 2023-24
पद का नाम BSF,CISF,CRPF,ITBP,NCB,SSF, असम राइफल इत्यादि
ब्लैक का नाम SSC GD Syllabus 2023
सिलेक्शन प्रोसेस कंप्यूटर आधारित परीक्षा
शारीरिक दक्षता परीक्षा (PET) शारीरिक मानक परीक्षण (PET)
मेडिकल परीक्षण
लेख कैटिगरी Syllabus
ऑनलाइन परीक्षा की भाषा हिंदी, अंग्रेजी
कुल पदों की संख्या 84000+
आधिकारिक वेबसाइट @ssc.nic.in

SSC GD Syllabus 2023 Constable Selection Process 2023

SSC GD Constable mein abhyarthiyon ka final chayan 4 charanon ko poora karne ke baad hota hai. Jismein sabse pahle abhyarthi ko apna aavedan form jama karna hota hai. Iske baad aayog dwara aayojit likhit pariksha mein bhag lena hota hai. Likhit pariksha mein pass hue ummidvaron ko shariric dakshata pariksha (PET) ke lie bulaya jata hai jismein. Daud, lambai aur seene ka map liya jata hai iske baad physical pariksha mein pass hone wale ummidvaron ko medical pariksha ke lie bulaya jata hai. Medical pariksha mein uttirn hue ummidvaron ki final merit nikal jati hai. Is prakar SSC GD Constable mein ummidvaron ka final chayan kiya jata hai.


SSC GD Exam Pattern 2023-24


Ab yaha par hum aapko SSC GD ke paper pattern ke bare mein detail mein batayenge. Jiske liye aap niche batayi gayi jankari ko dhyanpurvak padhen.


SSC GD paper mein sabhi questions vastunik prakar ke (MCQ) puche jayenge.


Har sahi uttar ke liye do marks diye jayenge.


Paper ka total 160 marks hota hai.


Paper mein total 80 questions puchhe jate hain.


Har galat jawab ke liye 1/2 minus marking hoti hai.


Paper ke liye 1 hour ka time diya jata hai.


Paper Hindi aur English dono bhashaon mein aata hai jisme abhyarthi apni ichha anusar jis bhasha mein chahe exam de sakta hai.


Paper mein puchhe jane wale sabhi sawal dasvi aur barahvi level ke hote hain.


Subject ka naam Questions ki sankhya Total Marks Samay


General English aur General Hindi 20 40


Maths 20 40


Reasoning 20 40


GK/Current Affairs 20 40


Total 80 160 1 Hour (60 Mins)


SSC GD Syllabus 2023 PDF Download In Hindi


SSC GD Constable bharti exam mein total 4 saalo se questions puche jate hain. Jisme General English aur General Hindi, Maths, Reasoning aur GK, Current Affairs aadi shamil hai. Is lekh mein niche hum sabhi vishayon ka vistarit roop se ka syllabus ki jankari provide karenge jo ki is prakar hai.


SSC GD Syllabus 2023-24 (Hindi Vishay)


Sandhi, Sandhi Vicheda, Pratyay, Upasarg, Samanarthak shabd, Paryayvachi shabd, Muhaware aur Lokoktiyan, Samajik padon ki rachna aur samas vigrah, Vilom shabd, Shabd yugam, Karmvachya vachya aur bhavvachak ka prayog, Sakarmak kriya, Akarmak kriya aur Poorvakalik kriyaen, Shuddh ashuddh shabdon ka shuddhikaran aur shabdgat ashhudd ka karan, Sadharan, sanyukt aur mishrit angrezi vakyaon ka hindi me rupantaran aur hindi vakya ka angrezi me rupantaran, Karyalay patr se sambandhit gyan, Sangya shabdo se vishshan bananaa, Anekarthi shabd, Vakya shuddh-ashuddh vakyaon ka shuddhikaran aur vakyagat ashhud ka karan, Vakyansh ke lie sarthak shabd, Krit vachya vaachya, Angrezi ke paaribhashik (technical) aadi


SSC GD Syllabus 2023 in English (General English Vishay)


Fill in the Blanks, Error Spotting, Phrase Replacement, Spellings, One Word Substitution, Reading Comprehension, Spot the Error, Synonyms/Homonyms & Antonyms, Idioms & Phrases, Active/Passive Voice of Verbs, Conversion into Direct/Indirect Narration, Shuffling of Sentence Parts, Shuffling of Sentences in a Passage, Cloze Passage etc.


SSC GD Math Syllabus 2023 (Ganit Vishay)


Kshetrimiti, Vyaj, Chhoot, Lava aur Haani, Samay aur Doori, Nau aur Dhara, Samay aur Kaam, Sankhya Pranali, Avarit, Sankhyaon se sambandhit samasyayen, Poorn Sankhyaon ki ganit, Dashmalav evam binn, Sankhyaon ke beech sambandh, Pratishat, Anupat aur Samaanupat


SSC GD Syllabus 2023 Reasoning (Reasoning Vishay)


Yugam Gatthhan, Akshar shreni, Varnmala shreni, Shabd gathhan, Shabdakosh, Aksharon ka tarkik kram, Sankhya shreni, Lupt sankhyayen, Sadrishyata parikshan, Vargeekaran, Ganitik samaikaran, Rakt sambandh, Non-verbal, Darpan aur kshaitij pratibimb, Kagaz modna evam katna, Aakritiyon ko poora karna, Chupi hui aakriti pata lagana, Ek jaisi aakritiyo ka samuh, Aakritiyon ki shreni, Aakritiyon ka vargeekaran, Aakritiyon ki sadrishyata, Bindusthapna, Aakritiyon ko jodna


SSC GD Syllabus 2023: General Knowledge & General Awareness


Bharat aur uske padosi desh, Khel itihas, Arthik drishya, Samaanya rajniti, Vaigyanik anusandhan, Bharatiya sanvidhan, Bhugol, Sanskriti, Samaanya vignyan, Current affairs, Arthashastra ki samaanya jankari, Haal hi me ghati hui ghatnaon ki jankari aadi

Tags